Responsive Ad Slot

Latest

latest

ads 3

Best Urdu Poetry

Best Urdu Poetry

2 Line poetry

2 Line poetry

love poetry

love poetry

Ghazal's

Ghazal's

Romantic Urdu Poetry

Romantic Urdu Poetry

Designed Urdu Poetry

Ghazals With Video

Ghazals With Video

pictures

Islamic Images

Urdu Poetry Point

Romantic Urdu Poetry

Shahzada

December Phir Udaas Hai

No comments
Ajnabi Si Raahon Mein Door Tak..
Nigaahon Mein Be-Rukhi Ka Mausam Hai.
Aaj Phir Nigaahon Ko, Beete Pal Ki Pyaas Hai.
Phir Reha Hun Dar-Ba-dar Mojzey Ki Aas Hai..
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai..
Baat Toh Kare Koi,
Saath Toh Chale Koi,
Khaamoshi Ka Pehra Hai
Zakhm Dil Ka Gehra Hai
Kisi Bahut Apne Ki
Ab Mujhe Talaash Hai.
Aisa Lagta Hai Jaise..
December Phir Udaas Hai


Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise

No comments
Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise

Jaagte-Jaagte Ik Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baki Hai Magar Saans Ruki Ho Jaise

Har Mulakaat Pe Mehsoos Yahi Hota Hai
Mujhse Kutch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Hue Aksar Ye Gummaan Hota Hai
Vo Nazar Chup Ke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyun Ka Safar
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehroo.N Tujhe Soochta Rehta Hoon Main
Meri Har Saans Tere Naam Likhi Ho Jaise

jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye

No comments
jab tassawar mera chupke se tujhe choo aaye
apni har sans se mujhko teri KHUSHBOO aaye

mashghala ab hai mera chnd ko taktte rehna
raat bhar chain na mujhko kisi pehloo aaye

pyaar ne hum mein koi farq na chorha baqi
jheel mein aks to mera ho nazar tu aaye

jab kabhi gardish e dauran ne sattaya mujhko
meri jaanib tere phaile huye baazoo aaye

jab bhi socha ke shab e hijjar na ho gi roshan
mujhko samjhane teri yaad ke jugnu aaye

uss ke lehje ka assar to hai badi baat QATEEL
wo to aankhon se bhi karta hua jadoo aaye

Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay

No comments
Kam tere Zabt ki qeemat nahi karne walay
Hum teri ankh se hijrat nahi krne walay

Apne Nazdeek mohabat hai ibadat ki tarha
Hum ibadat ki tijarat nahi krne walay

Ye alag baat hai k izhaar nahi kar sakte
Ye na samjho mohabat nahi karne walay

Kaat kar phaink de sar chahe saja naizay par
Hum tere haath pe Baiat nahi karne walay

Hakim-e-waqt Zara apne Garebaan mein jhank
Log Bewajha Baghawat Nahi Karne Walay




Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat

No comments
Aaj To Mehfil e yaraan Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot Ke Bikhro Gay To Yaad Aaonga
Meri Khushbo Tumhe Kholegi Gulabon Ki Tarah
Tum Agar Khud Se Na Bolo Gay To Yaad Aaonga
Isi Andaz Mai Hote Thai Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likhogay To Yaad Aaonga
Isi Judai Mai Tum Andar Se Bikhar Jaogay
Kisi Maazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaonga
Humne Khushiyun Ki Tarah Dukh Bhi Ikhattay Dekhe
Saf e Zeest Ko Palto Gay To yaad Aaonga
Tum Meri Ankh Ke Tewar Na Bhula Pao Gay
An Kahi Baat Ko Samjho Gay To Yaad Aaonga






Usay Khone Se Darta Tha

No comments
Usay Khone Se Darta Tha
Bohat Rone Se Darta Tha
Phir Ek Din Ye Samajh Aaya
Ke Roya Un Ko Jata Hai
Bichre Jo Muqaddar Se
Ke Khoya Unko Jata Hai
Jo Hasil Hon Muyassar Hon
Jo Danista Bichar Jaye
Usay Roya nahi Karte
Jisay Paaya Nahi Ab Tak
Usay Khoya Nahi Karte


Maa Mera Qasoor Nahi Tha

No comments
Maa Mera Qasoor Nahi Tha
Ek Uncle Se Toffee Li Thi

Hath Mere Jo Sar Par Phera
Mai Samjhi Insan Hi Hoga

Uski Bhi Koi Beti Hogi
Shyad Mere Jaisi Hogi

Mujhko Ghar Se Door Le Aya
Usne Achanak Lehja Badla

Moo Mera Jo band Kiya To
Phir Mujhe Kuch Maloom Nahi Tha

Maa Mera Qasoor Nahi Tha
Ek Uncle Se Toffee Li Thi


ads

© all rights reserved
made with by templateszoo